Thursday, September 18, 2008

Your Eyes

I look into the dark night sky as the moon sheds her tears
and all the stars that comfort her and the clouds that hide her fears
I look into the setting sun as its colors clash with pride
with its light that warms my heart with love that shan't subside
I look into the ocean blue as its enchanments swirl below
what mysteries lie so very deep shall I ever know
and as I set beside you i begin to realize
I see all these wonderful things each time I look into your eyes

Apne Sath Hi Sada Mujhko Paaoge Tum

Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue,
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum

Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge,
Apne saath hi sada mujhko paaoge tum


Har waqt bura kat jata hai, yaqeen karna,
Ankhon mein kabhi tum ashk na bhar lena

Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage,
Apni duaaon mein mujh ko paaoge tum


Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka,
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat

Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon,
Apne seene mein dhadakta mujh ko paaoge tum


Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wajood,
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna

Jo sard hawayein zamane ki aane lage paas,
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna

Main tumse juda to nahin hoon mere humdum,
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

Wednesday, September 17, 2008

Duur bohut hai manzil

Duur bohut hai manzil naale, rasta hai sunsaan bohut,

Aiper uthe pohunchan khatir dil vich ne armaan bohut,



Dil daa booha khol ke rakhiya uss dey aavan javaan layi,

Oh na aayi aiper aaye hanjhu bann mehmaan bohut,



Neend churaa ke duje dee khud sukh dee neendar saunde ne,

Pathar de iss shehar ch milday aise vee insaan bohut,



Akhiyan vichon vagg ke mann nu haula phull ne kar jaande,

Mere hanjhu karde rehnde mere te ehsaan bohut,



Saare log bharosa arde meri dard kahaani te,

Je kar mere dil dee mehram ban dee naa anjaan bohut,

Wednesday, August 27, 2008

तुम्हे चूमने के लिए उठता हूँ

तुम समन्दर का किनारा हो
मैं एक प्यासी लहर की तरह
तुम्हे चूमने के लिए उठता हूँ
तुम तो चट्टान की तरह
वैसी ही खड़ी रहती हो
मैं ही हर बार तुम्हे
बस छू के लौट जाता हूँ

सीमा वही हो जो मन कहे

रिश्तों को सीमाओं में नहीं बाँधा करते
उन्हें झूँठी परिभाषाओं में नहीं ढाला करते

उडनें दो इन्हें उन्मुक्त पँछियों की तरह
बहती हुई नदी की तरह
तलाश करनें दो इन्हें अपनी सीमाएं
खुद ही ढूँढ लेंगे उपमाएं

होनें दो वही जो क्षण कहे
सीमा वही हो जो मन कहे

लिखने से

पड़ा ना फर्क अनोखी ज़बान लिखने से
ज़मीन, ज़मीन ही रही आसमान लिखने से !!

रहा जिस से ताल्लुक हर घड़ी मेरा
वोह बन न सका मेरी जान, जान लिखने से !!

पनाह मिल ना सकी एक पल कभी मुझ को
किसी उजाड़ जगह को मकान लिखने से !!

कहीं तपिश से झुलसता रहा बदन मेरा
के धुप, धुप ही रही छाँव लिखने से !!

Friday, August 22, 2008

har mod par mukaam nahi hota

Har mod par mukaam nahi hotaa,
Dil ke rishto kaa koi naam nahi hota,
Dil ki Roshni se khojaa hai aapko,
Aap jaisa dost milnaa aasaan nahi hota..........................

Muskuraana hi khushi nahi hoti,
Umar bitaana hi zindagi nahi hoti,
Khud se bhi zyaada khayaal rakhnaa padta hai dost kaa,
Kyonki dost kehna hi dosti nahi hoti...............................

Lamhaa - lamhaa aapke hoontho pe muskaan rahe,
Har ghum se aap anjaan rahe,
Jiske saath se mahek uthengi aapki zindagi,
Hamesha aapke pass wohi insaan rahe

Wednesday, August 20, 2008

Never Forget I Love You

This is a message
from me to you
To make sure you
never forget I Love You!
When things are rough
and you feel lost,
Just call on me and
I'll be there at any cost.
I'll do this because
I care for you
I'll stick by your side
no matter what you do.
I am your friend
through thick and thin,
Just as, for me,
you have always been

Thursday, July 10, 2008

Waqt ko badlte dekha hai

Waqt ko badlte dekha hai
Mausam ko badlte dekha hai
Par aaj insan ko badlte dekha hai...

Kabhi jo chand bankar thandak deta tha in aankho ko
Aaj unko tapta huaa sooraj bante dekha hai...

Kabhi hawa ka rukh badlane ki bate karne walo ko
Aaj khud badlte dekha hai...

Kabhi khwab bankar, yakin bankar basa karte the in aankho mei wo
To bina kuch soche aankhein band kar liya karte the
Jaise unhe tham liya ho in aankho mein
Aaj unko band aankho se bhi BAHETE dekha hai.....

Thursday, February 14, 2008

Tasveer Teri

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujhse To Sharma Na Sakegi

Main Baat Karunga To Ye Khamosh Rahegi
Seene Se Laga Loonga To Ye Kuchh Na Kahegi
Araam Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi

In Hoton Ko Main Kuchh De Na Sakunga
Is Zulf Ko Main Haath Men Bhi Le Na Sakunga
Uljhi Hui Raaton Ko Ye Suljha Na Sakegi

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi...... ...

Thursday, January 31, 2008

Yaadon Ka Aik Jhonka

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad

Lamha Lamha Dil Ujrra Hai Muskil Say Ye Ehsaas Huwa
Pathar Aaye Barson Pehley Sheeshey Tootey Barson Baad

Bhool Jaoon Kis Ne Torra, Kaisey Torra, Kyun Torra
Dhoondh Rahey Ho Galiyon Mein Dil Ke Tukrrey Barson Baad

Dastak Ki Umeed Lagaye Kab Tak Aakhir Jeetey Hum
Kal Ka Waada Karney Waaley Milney Aaye Barson Baad

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad …

Friday, January 25, 2008

Pareshaan Raat Saari Hai

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao
Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein
Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin Aaya
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Kahey Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say
Ye Kaisi Raaz Daari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein To Aaj Ki Shab Po Phatney Tak Jaagna Hai
Yehi Qismat Humari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein Bhi Neend Aa Jaye Gi, Hum Bhi So Hi Jayein Gey
Abhi Kuch Be-qaraari Hai, Sitaro Tum To So Jaao !

likh dena

Apne haathon se kaheen mera naam likh dena...
Tum dua mat maangna sirf dua likh dena...

Iss qadar zamane ne kar diya badnaam mujko...
Zinda rahoon to jeene ki saza likh dena...

Main rote huve dost ko manaoo kaise...
Roothne wale yeh meri khata likh dena...

Juda ho ke tujh se jee lenge...
Mere makhmali haathon se apni ek ada likh dena...

Tum kehte thay tere bin jee na sakengay...
Akele kaise jee rahe ho zara likh dena...

Kar ke mujhko deewana jaa rahe ho kyon...
Kaise ki thi Dosti ki ibtida likh dena...

Agar teri nazron mein ye sab jurm hai...
To tum apni taraf se koi saza likh dena...

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya
Door Jaaney Ke Nitt Naye Bahaaney Laayaa

Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viraaney Laaya

Gunaah Ke Dar Say Barrha Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laaya

Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lotaaney Laaya

Jiss Ke Pyaar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi....Woh Shama Bujhaaney Laaya

Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sarhaaney Mairey Sajaaney Laaya

Pehley Hi Chaahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjaayi Naye ilzaam Lagaaney Laaya !

Monday, January 21, 2008

Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Wiraaniyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad
Mehroomiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Phaila Huwa Abb To Chaar Soo Andhaira Hai
Tareekiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Be-ronaq Mairi Tarah Ghar Ke Dar-o-Deewaar Bhi Hain
Udaasiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dhaltey Sooraj, Taptey Sehra Aur Khizaan Raseeda Paton Say
Shanasaaiyam Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Hotey Hain Har Taraf Say Abb Ishaarey Mairi Jaanib
Ruswaaiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dar Khula Rakhtey Hain Ke Shayad Tu Aaye Kabhi
Khush Fehmiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad …

Friday, January 11, 2008

Pathar mujhay kehta hai

Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa,
Aankhon mein raha dil mein utar kar nhi dekhaa,
Kashti kay musaafir nay samander nhi dekha,
Be –waqt agar jaaoongaa sabh chaunk padeingay,
Aik ummar hue din mein kabhi ghar nhi dekha,
Jiss din say chalaa hoon meri manzil pay nazar hai,
Aankhon nay kabhi meel ka pathar nhi dekhaa,
Yeh phool mujhay koi viraasat mein milay hain,
Tumnay mera kanton bharaa bistar nhi dekhaa,
Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa,
Main mom hoon uss nay mujhay chhoo kar nhi dekhaa,

Wo Larki

Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,
Peyase hont they aankh samandar thee,

Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,

aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,

aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,

tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,

sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,

kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,

Mohsin keya jane keyo dhoop se be parwah,
wo apne ghar k dehleez par bethi rehti thee.

TERI YAAD NAY

*Teri Yaad Nay Meray Dil Ko Saja Rakha Hai
Teray Pyar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai

Kuch Acha Nahin Lagta Teri Judai Kay Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Say Laga Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Muqadar Say Miltay Hain Bichar Kay Warna
Ajj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai

Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Teri Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai*

Har shaks kay dou chehrey

Har shaks kay dou chehrey nazar aatey hain humein,
Zindagi tujh ko bhalaa kya apna banaayein hum,
Maut say khud baithey hain dil lagaaye hum,
Kadmon kee aahat ho tou lagta hai woh aaye,
Rakhtey hain khud apna kafan sajaaye hum,
Koi aayega aur phir kahega bewafa humein,
baithey hein dekho apna sarr jhukaaye hum,
Likh day koi kahani meri chaahey adhoori sahi,
Phirtey hain haath mein kora kagaz uthaaye hum,
Har shaks kay dou chehrey nazar aatey hain humein,
Abb kis ko dein dua aur kissey badd-duaen hum!!

MERE DOST

MERE DOST MARE HUM SAFER
TU KABHI TU MARE SAATH CHAL
TU AJAB TARHAN KA DOST HAI
JO CHALAI BHI SAATH 2 KADAM

MAIN TUJHAY DIL SE DUA BHI DON
NA WAFA KARE NA TU JAFA KARE
AJEEB HAIN TERE MANZILEN
AJEEB HAI TERE BAAM O DUR

TU MARE NAZAR KI TALISH HAI
KATNI DOOR HI PHIR BHI PASS HAI
MAIN CHAYON GA TUJH KO HAR KADAM
MARE DOST MARAI MUTRAM

KABHI KHAAT LIKHON TU JAWAB NA DAI
SARA PYAR DOOR SAI DEKHA BHI DAI
KASE HAI AAI MOHBBATIN
TU ...BATA DAI AJ OO MARE SUNAM ?

KABHI ZINDAGI JO WAFA KARE
DOO CHAR PALL TU MILYA KARE
MAIN KHYON TUM HO HUMSFER
TU NAHI NAHI KAHA KARE

TERE AK KUSHI PAR IMRAN
KARON MAIN JAN BHI KURBAN
KABHI AAI WO DIN AAI SUNAM
MARE DOST MARE MUTRAM

Hai Chupi koi Daastan

Hai Chupi koi Daastan Iss Dil Main Ab Tak
Rakhi hai sanbhal Kar per na janay kab Tak
Tarrapta rahoon ga uss say na milon jab Tak
Koi tu sada day meri aahat jab puhnche Rab Tak
Woh tu nazar andaaz karti hai per na janay kab Tak
Hoon zinda shayad Jab Maroonga Tab Tak.

Rishta

Ham jisay dosti samajh baithey,
Thaa faqt karobaar ka rishta,
Sab say pyaaraa hai pyaar ka rishta,
Jaan say jaan-nisaar ka rishta,
Ham say rishta hazoor woh rakhiye,
Jo galley say hai haar ka rishta,
Arzoo ney teri nibhaayaa hai,
Umar bhar intezaar ka rishta,
Jiss kee tasdeek dil bhi karta hai,
Hai vohi aitbaar ka rishta,
Gull khizaayon mein saath chhod gye,
Gull say achha thaa khaar ka rishta,
Ham jisay dosti samajh baithey,
Thaa faqt karobaar ka rishta,