
Ishq ka nasha kya hota hai koi ham se puche zara,
aankhen khuli rahti hain aur wo samjhte hai ham so gaye,
dil me hota hai bechaini ka aalam hamesha,
kahan hoga kaisa hoga sirf apne mahboob ka na pata hota hai.
wo milte to kahte halat-e- ishq bhi apna,
wo samjhte hai ham unhen bhool gaye.........
kaise bhula payege tumhe, jism me bas gaye ho dhadkan ban kar,
ruh ho tum meri kay tumhe pata hai, aur tumne bhula diya bewafa ban kar.
hamne tumhe chaha ye hamari khata thi kya,
ham to chahte the ham rahe tere ham dam ban kar.
tumne dil tod diya, yun tanha hame chod diya,
ham nhi bhula payege tumhe, ho sake to hame bhula dena
teri to fitrat rahi hai sada hamko ho satana,
jab bhi yaad aaye hamari laut aana....!!
