Waqt ko badlte dekha hai
Mausam ko badlte dekha hai
Par aaj insan ko badlte dekha hai...
Kabhi jo chand bankar thandak deta tha in aankho ko
Aaj unko tapta huaa sooraj bante dekha hai...
Kabhi hawa ka rukh badlane ki bate karne walo ko
Aaj khud badlte dekha hai...
Kabhi khwab bankar, yakin bankar basa karte the in aankho mei wo
To bina kuch soche aankhein band kar liya karte the
Jaise unhe tham liya ho in aankho mein
Aaj unko band aankho se bhi BAHETE dekha hai.....
No comments:
Post a Comment