Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..
Main ne kaha Sitaron ka koie Shumaar hai…
Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez..
Main ne kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai…
Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand..
Main ne kaha Woh Sama jo aab tak Udhaar hai…
Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge..
Main ne kaha jitni yeh Saanson ki Taar hai…
Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah..
Main ne kaha Mera Naam hi Aitbaar hai
No comments:
Post a Comment