Friday, August 31, 2007

koi Hum-safar nahi hai

koi Hum-safar nahi hai koi Raazdaar nahi hai
Faqat Ek Dil tha Apna so wo Meharban nahi hai

kisi aur Ghum mai itni Khalish-e-Nihan nahi hai
Ghum-e-Dil mera Rafiq-o-Ghum- e-rayegan nahi hai


Meri Rooh ki Haqeeqat mere Aansuon se pucho
Mera Majalisi Tabassum mera Tarjuman nahi hai


Kisi Aankh ko sada do kisi Zulf ko pukaro
Bari Dhoop par rahi hai koi Sayebaan nahi hai

Inhi Pattharon pe chal ker agar aa sako to aao
Mere Ghar k Raaste mai koi Kahakashan nahi hai

jo dil tumko diya

jo dil tumko diya ab tak tumhare pas hi hai
main tumse khat vapas le ke bolo kya karunga
jo tum louta sako vo pyare lamhe
tumhare saath jo kaate the maine
to mujhko chahiye vo sab ke sab hi
mera khat leke bolo kya karunga
jo hansna tha tumhari shokhiyon par
jo baaten tumne jab mujh se kahi thin
agar louta sako louta do mujhko
ki tanha main to ab ghut sa gya hun
mujhe tum ek baar phir se pukar lo
teri aawaz mujhko phir hai sunani
ki kya keh kar ke the tum mujhko bulate
zara aawaz do to yaad aae........

main phir khush ho ke tere paas aaun
vo bhula waqt phir se main dohraaun
kahan kagaz ka vo tukda kahan tum
bhala usko main leke kya karoonga.... ......... ......

usko itna faqat bata daina

usko itna faqat bata daina
itna aasaan nahi bhula daina

teri yaaden bhi teray jaisi hain
inko aata hai bus rulaa daina

chhupaaye rakhna dil ke zakhmon ko
sataaye dard phir bhi muskura dena

log zalim hain inki aadat hai
uthtay sholon ko bus hawa dena

ab nahi aaye ga laut kar "Haider"
chhor do usko tum sada dena"

Friday, August 24, 2007

MERA APNA THA

koee to tha jo mera apna tha,
jis ne jeena sikhaya woh mera apna tha,

dil to bikhar chuka tha toote huy mootieon ki tarha
dil ko jis ne sawara woh mera apna tha,

kho chuki thi umeed khushiyan pane ki,
khusiyan jis ne sametien woh mera apna tha,

kehta tha sath doon ga saat janmoon ka ,
beech rah mien jo chhor gaya woh mera apna tha,

shikva bus itna hai ye dosto0o0,
jis ne saath chhora woh mera apna tha

Monday, August 13, 2007

acha laga

Tum ko chahtey howe bhi bhool
jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana
acha laga....

Tum ajnabi they meray liye mager
apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi,
mager sadiyon se jaan kar acha laga

Khaboon main yadoon main tum thay
mager tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thay mager
Khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya thay mager
Tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan thay mager
Tum ko barsana acha laga

Meri khushiyon ka jahan thay mager
Tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur
Tum ko yaad karna acha laga

Sab khahishon ko mitana
Sirf tumhin pana acha laga
Logon ke kehne main aana aur
sab kuch bhulana bolo kisse acha laga

Yehi to rasm-e-duniya hai Essay
Nibhana acha laga

Friday, August 10, 2007

*Kuch Likhna Chahata Hoon*

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon ?

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehre Par Unke Muskurahat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh pyaar
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon Tho Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thursday, August 9, 2007

Tanhaa

tanhaa hain din tanhaa hain raaten,

kisse kahen apne dil ki hum baaten,

wo soote hain araam se meri neende udaake,

main soochta hun unko apne khyaalon me laake,

zindagi jee kar to humen kuchh mila nahi,

jee karta hai ab to mar jaaun kuchh khaake,

jab humse pyaar karne wala hi muh fer geya,

main kya karunga duniya ki khushion ko paake,