Thursday, August 2, 2007

ITNA TOOTA HOON

Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar he jaon ga

Pooch kar mera pata wakt jaya na karo
Main to bhanwara hun hoon jane kidhar udd jaon ga

Phool rah jaiengay fakat gulldanoon ki nazar
Main to khushboo hoon hawaon mein bikhar jaon ga

Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga

Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga

No comments: