Friday, January 11, 2008

Har shaks kay dou chehrey

Har shaks kay dou chehrey nazar aatey hain humein,
Zindagi tujh ko bhalaa kya apna banaayein hum,
Maut say khud baithey hain dil lagaaye hum,
Kadmon kee aahat ho tou lagta hai woh aaye,
Rakhtey hain khud apna kafan sajaaye hum,
Koi aayega aur phir kahega bewafa humein,
baithey hein dekho apna sarr jhukaaye hum,
Likh day koi kahani meri chaahey adhoori sahi,
Phirtey hain haath mein kora kagaz uthaaye hum,
Har shaks kay dou chehrey nazar aatey hain humein,
Abb kis ko dein dua aur kissey badd-duaen hum!!

No comments: