Thursday, January 31, 2008

Yaadon Ka Aik Jhonka

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad

Lamha Lamha Dil Ujrra Hai Muskil Say Ye Ehsaas Huwa
Pathar Aaye Barson Pehley Sheeshey Tootey Barson Baad

Bhool Jaoon Kis Ne Torra, Kaisey Torra, Kyun Torra
Dhoondh Rahey Ho Galiyon Mein Dil Ke Tukrrey Barson Baad

Dastak Ki Umeed Lagaye Kab Tak Aakhir Jeetey Hum
Kal Ka Waada Karney Waaley Milney Aaye Barson Baad

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad …

1 comment:

दिपाली "आब" said...

aaj yakin ho gaya ki tum chori karke hi likhte ho
jiski lekhni mein dum nahi hota wahi yeh karta hai
agar khud ka likha na ho to kripya karke writer ka naam likhe
aur agar writer ka naam pata na ho to kripya karke likhe not mine.