Tuesday, June 16, 2009

Kyun tu acha lagta he


Kyun tu acha lagta he waqt mila tu sochain gaye
Tujh main kia kia dekha he waqt mila tu sochain gaye

Abhi tu uljhe raastay ki gird pari he ankhoon main
Kiss raastay pe jana he waqt mila tu sochain gaye

Abhi tu gham-e-shiddat se khushk hue hain ansoo bhi
Kiss ki yaad main roona he waqt mila tu sochain gaye

Hum ne uss ko likha tha kuch milne ki tadbeer karoo
Uss ne likh kar bheja he waqt mila tu sochain gaye

Abhi tu zinda rahne ka ik bahana he tu bhi
Kiss ki khatir marna he waqt mila tu sochain gaye

Yaa tu apne dill ki mano yaa phir dunya waloon ki
Mashwara uss ka acha he waqt mila tu sochain gaye

No comments: