Sunday, April 19, 2009

To Phir Kyun ? ? ? ?

To Phir Kyun ? ? ? ?

Kyu rulaate ho mujhe ?
Kyu bhool jaate ho mujhe?
Tere he sahaare to jee rahe hain hum..
********************************************
To phir kyu akela chodh jaate ho ?
Har baat ko chupana ataa hai tumko,
Roothon ko manana ataa hai mujhe.
Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se�
To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe?
*************************************************
Jaan jaati hai meri ,
Jab yaad aati hai tumhari.
Tum to mujhe bhula dete ho�
To phir kyu yaad aate ho mujhe?
Hum jeene ke bahaane marte rahenge
********************************************************

HUM TUM

Kehna Tum se Hai,Tum Apna Khayal Rakhna,
Pooch Lena Mujhe,Naa Mere Liye
Dil mein Koi Sawaal Rakhna

Main Yeh Nahi Kehta Ke Sab Kuch Yaad Rakhna,
Jab Hum Mile Thay Bas Yaad Wo Din,
Wo Ghadi Aur Wo Saal Rakhna



Naa Sochna Kabhi Ke Badal Jayenge Hum,
Hum Khawab Nahi Jo App Ki
Aankhon Se Nikal Jaayenge


Agar Yakeen Naa Ho To
Mujh Se Meri Zindagi Maang Lo,
Bichha Dena Pyar Ki Baahein,.
Hans Kar Mar Jaayenge Hum

Saturday, March 14, 2009

जीत लिखूं या हार लिखूं

कुछ जीत लिखूँ या हार लिखूँ
या दिल का सारा प्यार लिखूँ

कुछ अपनों के ज़ज़बात लिखूँ या सपनों की सौगात लिखूँ
मैं खिलता सूरज आज लिखूँ या चेहरा चाँद गुलाब लिखूँ

वो डूबते सूरज को देखूँ या उगते फूल की सांस लिखूँ
वो पल में बीते साल लिखूँ या सदियों लम्बी रात लिखूँ

मैं तुमको अपने पास लिखूँ या दूरी का अहसास लिखूँ
मैं अंधे के दिन मैं झाँकूं या आँखों की मैं रात लिखूँ

मीरा की पायल को सुन लूं या गौतम की मुस्कान लिखूँ
बचपन में बच्चों से खेलूँ या जीवन की ढलती शाम लिखूँ

सागर सा गहरा हो जाऊं या अम्बर का विस्तार लिखूँ
वो पहली -पहली प्यास लिखूँ या निश्छल पहला प्यार लिखूँ

सावन कि बारिश में भीगूँ या आंखों की बरसात लिखूँ
गीता का अर्जुन हो जाऊं या लंका रावण राम लिखूँ

मैं हिन्दू मुस्लिम हो जाऊं या बेबस इन्सान लिखूँ
मैं एक ही मजहब को जी लूं या मजहब की आंखें चार लिखूँ

कुछ जीत लिखूँ या हार लिखूँ
या दिल का सारा प्यार लिखूँ

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,

Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,

Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,

Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,

Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,

Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!

Wednesday, February 25, 2009

Teri khushbu ka pata karati hai

Teri khushbu ka pata karati hai
Mujh pe ehasan hawa karati hai

Shab ki tanhai may ab to aksar
Guftagu tujh se raha karati hai

Dil ko us rah pe chalana hi nahi
Jo mujhe tujh se juda karati hai

Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahane may raha karati hai

Us ne dekha hi nahi warna ye ankh
Dil ka ehawal kaha karati hai

Beniyaz e kaf e dariya angusht
Ret par nam likha karati hai

Sham parate hi kisi shakhs ki yad
Kucha e jan may sada karati hai

Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karati hai

Dukh hua karata hai kuch aur bayan
Bat kuch aur hua karati hai

Abr barase to inayat us ki
Shakh to sirf dua karati hai

Masala jab bhi utha chiragon ka
Faisala sirf hawa karati hai

Mujh se ye dard ab aur saha nahi jata

Kya saza du apne aap ko kuchh samajh nahi aata

Mujhe maut aa jaye kyu wo waqt nahi aata

Na jee rahi hun Main aur na mar rahi hun Main

Kyu mere haalat pe bhagwaan tujhe taras nahi aata

De de maut is tarah ki koi muskil me na pare

Mujh se ye dard bhi ab aur saha nahi jata

Muhabbat us se bahut hai mujhe ab bhi

Magar aalam jo dil ka hai wo kaha nahi jata

Mujhko de tanhaayi karungi sab kabool

Par uska ye sitam ab roz mujhse saha nahi jata

MERI PAGAL MOHABBAT

meri pagal mohabbat tumhe yaad aayegi..
jab tadpoge tum kisi ke pyaar me..
jab ashk bahaoge kisi ke inkaar me,
meri pagal mohabbat tumhe yaad aayegi..

jab apni dhadkan pe ,kisi aur ka naam paayoge,
jab apne wafa ke badle ,bewafai aur dhoka khahoge
meri paagal mohabbat tumhe yaad aayegi...


jab bhari mehfil me , ho tumhe thanhaai ka ehsaas,
koi haqikat me dur rehkar bhi, ho dil ke aas paas,
meri paagal mohabbat tumhe yaad aayegi....