Thursday, January 31, 2008

Yaadon Ka Aik Jhonka

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad

Lamha Lamha Dil Ujrra Hai Muskil Say Ye Ehsaas Huwa
Pathar Aaye Barson Pehley Sheeshey Tootey Barson Baad

Bhool Jaoon Kis Ne Torra, Kaisey Torra, Kyun Torra
Dhoondh Rahey Ho Galiyon Mein Dil Ke Tukrrey Barson Baad

Dastak Ki Umeed Lagaye Kab Tak Aakhir Jeetey Hum
Kal Ka Waada Karney Waaley Milney Aaye Barson Baad

Yaadon Ka Aik Jhonka Aaya Hum Say Milney Barson Baad
Pehley Itna Roye Nahin Thay Jitna Roye Barson Baad …

Friday, January 25, 2008

Pareshaan Raat Saari Hai

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao
Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein
Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin Aaya
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Kahey Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say
Ye Kaisi Raaz Daari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein To Aaj Ki Shab Po Phatney Tak Jaagna Hai
Yehi Qismat Humari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein Bhi Neend Aa Jaye Gi, Hum Bhi So Hi Jayein Gey
Abhi Kuch Be-qaraari Hai, Sitaro Tum To So Jaao !

likh dena

Apne haathon se kaheen mera naam likh dena...
Tum dua mat maangna sirf dua likh dena...

Iss qadar zamane ne kar diya badnaam mujko...
Zinda rahoon to jeene ki saza likh dena...

Main rote huve dost ko manaoo kaise...
Roothne wale yeh meri khata likh dena...

Juda ho ke tujh se jee lenge...
Mere makhmali haathon se apni ek ada likh dena...

Tum kehte thay tere bin jee na sakengay...
Akele kaise jee rahe ho zara likh dena...

Kar ke mujhko deewana jaa rahe ho kyon...
Kaise ki thi Dosti ki ibtida likh dena...

Agar teri nazron mein ye sab jurm hai...
To tum apni taraf se koi saza likh dena...

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya
Door Jaaney Ke Nitt Naye Bahaaney Laayaa

Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viraaney Laaya

Gunaah Ke Dar Say Barrha Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laaya

Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lotaaney Laaya

Jiss Ke Pyaar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi....Woh Shama Bujhaaney Laaya

Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sarhaaney Mairey Sajaaney Laaya

Pehley Hi Chaahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjaayi Naye ilzaam Lagaaney Laaya !

Monday, January 21, 2008

Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Wiraaniyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad
Mehroomiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Phaila Huwa Abb To Chaar Soo Andhaira Hai
Tareekiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Be-ronaq Mairi Tarah Ghar Ke Dar-o-Deewaar Bhi Hain
Udaasiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dhaltey Sooraj, Taptey Sehra Aur Khizaan Raseeda Paton Say
Shanasaaiyam Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Hotey Hain Har Taraf Say Abb Ishaarey Mairi Jaanib
Ruswaaiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dar Khula Rakhtey Hain Ke Shayad Tu Aaye Kabhi
Khush Fehmiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad …

Friday, January 11, 2008

Pathar mujhay kehta hai

Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa,
Aankhon mein raha dil mein utar kar nhi dekhaa,
Kashti kay musaafir nay samander nhi dekha,
Be –waqt agar jaaoongaa sabh chaunk padeingay,
Aik ummar hue din mein kabhi ghar nhi dekha,
Jiss din say chalaa hoon meri manzil pay nazar hai,
Aankhon nay kabhi meel ka pathar nhi dekhaa,
Yeh phool mujhay koi viraasat mein milay hain,
Tumnay mera kanton bharaa bistar nhi dekhaa,
Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa,
Main mom hoon uss nay mujhay chhoo kar nhi dekhaa,

Wo Larki

Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,
Peyase hont they aankh samandar thee,

Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,

aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,

aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,

tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,

sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,

kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,

Mohsin keya jane keyo dhoop se be parwah,
wo apne ghar k dehleez par bethi rehti thee.