Friday, May 22, 2009

Tum kehti ho....

Tum kehti ho....
mere khat mujh ko
wapas kar do
bheghi shamein,
khushbu,yaadein
saari batein
Tum kehti ho
wapas kar do
kuch sukhe phool
kitabon mein
ik chehra he
mere khawabon mein
kuch tuhfe hein
tasveerein hein
mere daman mein
yehi cheezein hein
jo tanhai ki sathi hein
saari yaadein
Tum kehti ho
wapas kar do
khushian saari
wo ghum saare
waade qasmein
mausam saare
jo sath bahe
wo sab ansu
bete lamhoon ke
wo sab jugnu
jo tanhai ki sathi hein
saari yaadein
Tum kehti ho
wapas kar do
wapas kar do

No comments: