Tuesday, June 21, 2011

Safar tanha nahin karte

Safar tanha nahin karte
Suno aisa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ussey choda nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt bohut socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte

No comments: