Friday, June 17, 2011

Unke aane ki khabar

Aaj unke aane ki khabar se dil jawaaN hua
Hai dil me ik lahar si yun roshan samaaN hua

Takte ho jiski raah shab o roz tum yahaaN
Wo kab ka is jahaaN e fanaa se ravaaN hua

Jaate the kabhi bazm e sukhan ham bhi shauq se
Maara yun ishq ne ki dil ye bezubaaN hua

Taa-umr mehfiloN se ham ko khaak hi milee
Dushman nahi yaa rab na koi raazdaaN hua

Na apna koi ghar na thikana hai dahar me
Dhal jaaye din jahaaN wo apna aashiyaaN hua

Ham hain dayaar e gair me khoye se is kadar
Poocho ne ai damsaaz aaj ham ko kya hua

Jaaoge Dilli behaya hokar ke tum 'Zafar'
Dekhenge log gar na tumse kuch bayaaN hua

No comments: